Wednesday, July 1, 2009

one quwaali that i have cherished for years...

Kaam jiska fakat yeh daulat dil ki lutana hai.
Mohabbat ka khazana bhi kya khub khazana hai.

Kudrat jo hazaron karishme dikhati hai woh bhi toh
ek tarah se insaan ko mohabbat batana hai

Shabnam se moti, bade-e-saba ki tazagi, gulon ki mehek
kaenat ke ziyafat ka ye ek dilchasp bahana hai

Har pat me, har kali mein chippa paegam-e mohabbat hai
Har pankhuri ke labho pe ulfat ka ye tarana hai

Kya duniya ne samajha hai kya logon ne jaana hai
Ham khaak nishano ke thokar mein dekho zamana hai

Har pak rishtye ki buniyad, mohabbat hai
Ma bacche ka atul bandhan uska hi ek namuna hai

kya chiz mohabbat hai, duniya na samajh payi
yun kahene ko toh gardish mein sadiyon se zamana hai

Ye labz-e-mohabbat ka adna sa fazana hai
simte toh dile aashik, feleh ko zamana hai

Fizul woh hai dino dharam, jahan mohabbat basti nahi
jis dil mein mohabbat hai, wohi uska thikana hai

Pat var mohabbat ki hatho me rahe har dam
Duniya bhi taperon se gar sakine ko bajana hai

Ye ishk ruhani ab zaroorat ban gayi aadmi ki
ek baat yehi mujh ko belos batana hai.

3 comments:

Anonymous said...

OH my my luv is in the air :) :)

Shruti said...

he he... well, it's just a quwaali... ;D

Anonymous said...

Good fill someone in on and this mail helped me alot in my college assignement. Thanks you for your information.